hasan jis shahr mein tu gili mitti se kabhi kuze banata tha tujhe is shahr mein mitti nahin ab sar milenge hazaron khasta-tan lashon se rista khun tere shahr ki mitti ko yun sairab karta hai ki ab jo tu kabhi mitti se khelega to har kuza surahi jam-o-mina lahu ke rang ke honge teri naqsh-o-nigari aur tere hathon ki sannai na in kuzon ko bakhshegi wo hairat wo nudrat aur wo naqqashi jo bas tera hi hissa thi wo is mitti ki sondhi tez khushbu purane khun ki badbu mein mil kar aisi badli hai tujhe mahsus hoga tu kisi marghat mein baitha hai tujhe dajla ka wo shaffaf pani yaad hai kya wo jis se tere kuzon ki ziya thi wo jis se pyas bujhti thi tere sukhe badan ki wo dajla surkh hai masum bachchon ke lahu se hasan ata yusuf ki dukan ke samne kal bam phata tha na jaane kitne kuza-gar mare jin ke gharon mein isi mitti ke pyale hain magar khali tadapti bhuk hai aur lab sawali na jaane kitne kari-gar mare ab kaun ginta hai hasan is shahr mein ab koi marjina nahin hai na duniya-zad, na hasib karimuddin ka ghar hai ajaib-ghar hain na wo dars-gahen kutub-khanon mein lashkar so rahe hain koi zinda nahin is shahr mein bas maut zinda hai hasan tu mujh se wada kar ki chahe kuchh bhi ho jae palat kar is shahr mein phir kabhi wapas na aaega