rad hun barq hun bechain hun para hun main khud-parastar khud-agah khud-ara hun main khirman-e-jaur jala de wo sharara hun main meri fariyaad pe ahl-e-duwal angusht-ba-gosh la, tabar khun ke dariya mein nahane de mujhe sar-e-pur-nakhwat-e-arbab-e-zaman todunga shor-e-nala se dar-e-arz-o-saman todunga zulm-parwar rawish-e-ahl-e-jahan todunga ishrat-abaad imarat ka makan todunga tod dalunga main zanjir-e-asiran-e-qafas dahr ko panja-e-usrat se chhudane de mujhe barq ban kar but-e-mazi ko girane de mujhe rasm-e-kohna ko tah-e-khak milane de mujhe tafraqe mazhab o millat ke mitane de mujhe khwab-e-farda ko bas ab haal banane de mujhe aag hun aag hun han ek dahakti hui aag aag hun aag bas ab aag lagane de mujhe