ek din us ne mere dil ke darwaze par dastak di thi aur mere khwabon ki duniya mein armanon ka jashn hua tha kaliyan mahkin phul khile the har-su khushbu phail gai thi us ko dekha dekh ke socha us jaisa is duniya mein shayad koi aur na hoga aisa paikar aisa chehra kab dekha tha main ne marmar ki ek murat ko chalte-phirte dekh liya tha kitne samundar poshida the aankhon ki gahrai mein kitni bahaaren khel rahi thin us ke hasin rukhsaron par ek din main ne us ke dil ke darwaze par dastak di thi pyar hua tha kaliyan chatkin phul khile the har-su khushbu phail gai thi ek din us ke darwaze par shahnai baji thi anjaan-nagar ka ek shahzada zartar qaba mein aaya tha us ko le kar dur gaya anjaan-nagar ka shahzada ek din main ne us ko dekha virani ke manzar the ab khushk samundar aankhon mein aur khizan ka raqs tha us ke sukhe hue rukhsaron par logon se ahwal suna anjaan-nagar ka shahzada us ko tanha chhod gaya tha!