na garmiyon ka zor hai na sardiyon ki mar hai na dhup tan pe bar hai na thand nagawar hai hawa bhi khush-gawar hai na garm hai na sard hai na bijliyan na aandhiyan na abr hai na gard hai hain sabza-zar in dinon pahad dasht aur ban hai sach to yun bahaar par hai aaj-kal chaman chaman hain jangalon mein sabz sabz khet lahlaha rahe ajab ada se jhum jhum kar hain dil lubha rahe faza mein dilkashi hi kuchh ye aa gai hai ab nai nazar padi jo khet par to khelti chali gai khizan ne pedon ke libas phenke the utar kar dulhan bana diya unhen bahaar ne sanwar kar chaman ke phul dekh kar hamari aql dang hai banafshai safed surkh zard un ka rang hai dilon mein hai kuchh aaj-kal umang si bhari hui masarraton ke josh se kali kali khili hui nikhar gain mahawaton ki barishon se pattiyan nithar nithar ke saf ho gain tamam naddiyan hain pedon mein chhupe hue parind chahchaha rahe khuda ki shan dekh kar khushi se hain wo ga rahe ye lutf dekh dekh kar zaban pe bar bar hai ye mausam-e-bahaar hai ye mausam-e-bahaar hai