mah-e-rahmat ki khabar kis ke liye laya hai tu kaun tera muntazir tha kis liye aaya hai tu dekhne honge ye din tu ne kabhi socha na tha dekh wo manzar jo is se peshtar dekha na tha ab kisi ko aatish-e-dozakh ka koi dar nahin barish-e-rahmat mein bhi daman kisi ka tar nahin jab khuda ka dar nahin to fikr-e-uqba kyun rahe farigh-ul-baali mein koi bhuka pyasa kyun rahe dekh le is daur mein hain aise roze-dar bhi khate hain hotel mein din bhar karte hain iftar bhi