dahakti aag mein pighal ke qatra qatra gir rahi hain chudiyan ye jashn-e-atishin hai kya bahaar ka ki jis ki dard-nak chikh se laraz raha hai aasman tamam rang-o-bu ke silsile ye khet phul daliyan jhulas jhulas ke sab hue barahna aur be-zaban ufuq pe dard se likhe huruf kab se hain lahu mein yun hi tar-ba-tar ye hadsat nau-ba-nau kabhi na ruk saken agar to waqfa hi koi mile qarar ka ye tai karen wo kaun hai chukaega jo qarz us bahaar ka