atraf mein apne jo phaili raushni mahsus karti hun to lagta hai ki jaise tum kahin par ho yahin par ho ye mera khwab mat samjho kaho to sach kahun main waqai lagta hai jaise tum kahin par ho yahin par ho kisi chaukhat pe chadhti ek lachakti shakh par phulon ke jhurmut mein nihan phulon se badh kar ho badha kar hath koi jis ko chhu lene ka khugar ho tilism rang se ek chhed si pahron raha karti hai kuchh aise ki sab kuchh bhul jati hun achanak khwab se mein jagti hun aur mud kar dekhti hun ek sannate ka aalam hai khule maidan mein sakit khadi hun main