ho sakta hai is manzar se dhup nikal kar chhanw par qabiz ho jae suraj ki sat-rangi kirnen dhabbon mein bat jaen waqt ka girgit rang badal le sari basti apni aankhen dewtaon ko dan mein de kar so jaen lekin bahlawe ki pahli barish padne do ho sakta hai patthar se khushbu phute aur khushbu se angare ho sakta hai angaron mein jal jal kar mitti kundan ho jae