ajib si ye baat hai ki jo mera yaqin tha jo tapte raston mein mere waste gulon ki sar-zamin tha ki jo mera guman tha jo abr tha mere liye jo mera aasman tha jo meri ibtida tha aur mera jo ikhtitam tha jo meri subh-e-zindagi jo mera aasman tha azal se jo abad talak wafa ka saeban tha bahut hi mehrban tha jo markaz-e-nigah tha jo meri bargah tha wo ek din mila mujhe bahut hi tez dhup mein ek ajnabi ke rup mein wo hijr mein base hue se mah-o-sal de gaya chala gaya magar mujhe wo ek sawal de gaya main sochti hun aaj bhi ruka tha sun ke chap kaun jo kah raha tha aap kaun