ek gardan pe saikdon chehre aur har chehre par hazaron dagh aur har dagh band darwaza raushni in se aa nahin sakti raushni in se ja nahin sakti tang sina hai hauz masjid ka dil wo duna pujariyon ke baad chatte rahte hain jise kutte kutte duna jo chat lete hain dewtaon ko kat lete hain jaane kis kokh ne jana is ko jaane kis sehn mein jawan hui jaane kis des se chali kam-bakht waise ye har zaban bolti hai zakhm khidki ki tarah kholti hai aur kahti hai jhank kar dil mein tera mazhab, tera azim khuda teri tahzib ke hasin sanam sab ko khatre ne aaj ghera hai baad un ke jahan andhera hai sard ho jata hai lahu mera band ho jati hain khuli aankhen aisa lagta hai jaise duniya mein sabhi dushman hain koi dost nahin mujh ko zinda nigal rahi hai zamin aisa lagta hai rakshas koi ek gagar kamar mein latka kar aasman par chadhega aakhir-e-shab nur sara nichod laega mere tare bhi tod laega ye jo dharti ka phat gaya sina aur bahar nikal pade hain julus mujh se kahte hain tum hamare ho main agar in ka hun to main kya hun main kisi ka nahin hun apna hun mujh ko tanhai ne diya hai janam mera sab kuchh akele-pan se hai kaun puchhega mujh ko mele mein sath jis din qadam badhaunga chaal main apni bhul jaunga ye aur aise hi chand aur sawal dhundne par bhi aaj tak mujh ko jin ke man bap ka mila na suragh zehn mein ye undel deti hai mujh ko mutthi mein bhench leti hai chahta hun ki qatl kar dun ise war lekin jab is pe karta hun mere sine pe zakhm ubharte hain mere mathe se khun tapakta hai jaane kya mera is ka rishta hai aandhiyon mein azan di main ne sankh phunka andheri raaton mein ghar ke bahar salib latkai ek ek dar se us ko thukraya shahr se dur ja ke phenk aaya aur elan kar diya ki utho barf si jam gai hai sinon mein garm boson se us ko pighla do kar lo jo bhi gunah wo kam hai aaj ki raat jashn-e-adam hai ye meri aastin se nikli rakh diya daud ke charagh pe hath mal diya phir andhera chehre par hont se dil ki baat laut gai dar tak aa ke baraat laut gai us ne mujh ko alag bula ke kaha aaj ki zindagi ka nam hai khauf khauf hi wo zamin hai jis mein firqe ugte hain firqe palte hain dhaare sagar se kat ke chalte hain khauf jab tak dilon mein baqi hai sirf chehra badalte rahna hai sirf lahja badalte rahna hai koi mujh ko mita nahin sakta jashn-e-adam mana nahin sakta