baji ghanti jo chhutti ki to hanste gate hum nikle kisi mote se maula-bakhsh ke sah kar sitam nikle batao hath par padne se us ka haal kya hoga nazar aa jate hain jis bed ke hum sab ka dam nikle kabhi jab bhul kar baste ko apne khol kar baithe phati niklin kitaben aur sab tute qalam nikle natija-gah se nikle to is haalat mein hum nikle ki le kar apne dil mein fail ho jaane ka gham nikle bahana tang ki taklif ka aisa kiya hum ne ki langdate chale aur gir pade jab do qadam nikle nikala mumtahin ne naql karne se to bole hum bahut be-abru ho kar tere kamre se hum nikle