kal shab ajib ada se tha ek husn mehrban wo shabnami gulab si rangat dhuli dhuli shanon pe be-qarar wo zulfen khuli khuli har khat-e-jism pairahan-e-chust se ayan thahre bhi gar nigah to thahre kahan kahan har zawiye mein husn ka ek taza bankpan har daere mein khilte hue phul ki phaban aankhon mein dolte hue nashshe ki kaifiyat ru-e-hasin pe ek shikasta si tamkanat honton pe an-kahi si tamanna ki larzishen banhon mein lamha lamha simatne ki kawishen sine ke jazr-o-mad mein samundar sa iztirab umda hua sa jazba-e-bedar ka azab khushbu tawaf-e-qamat-e-zeba kiye hue shisha badan ka azm-e-zulekha liye hue phir yun hua ki chhid gai yusuf ki dastan phir main tha aur paki-e-daman ka imtihan ek sanp bhi tha aadam o hawwa ke darmiyan