bahut dinon baad tere khat ke udas lafzon ne teri chahat ke zaiqon ki tamam khushbu meri ragon mein undel di hai bahut dinon baad teri baaten teri mulaqat ki dhanak se dahakti raaten ujad aankhon ke pyas patal ki tahon mein visal-wadon ki chand chingariyon ko sanson ki aanch de kar sharir shoalon ki sar-kashi ke tamam tewar sikha gai hain tere mahakte mahin lafzon ki aabshaaren bahut dinon baad phir se mujh ko rula gai hain bahut dinon baad main ne socha to yaad aaya ki mere andar ki rakh ke dher par abhi tak tere zamane likhe hue hain sabhi fasane likhe hue hain bahut dinon baad main ne socha to yaad aaya ki teri yaadon ki kirchiyan mujh se kho gai hain tere badan ki tamam khushbu bikhar gai hai tere zamane ki chahatin sab nishaniyan sab shararten sab hikayaten sab shikayaten jo kabhi hunar mein khayal thin khwab ho gai hain bahut dinon baad main ne socha to yaad aaya ki main bhi kitna badal gaya hun bichhad ke tujh se kai lakiron mein dhal gaya hun main apne cigarette ke be-irada dhuen ki surat hawa mein tahlil ho gaya hun na dhundh meri wafa ke naqsh-e-qadam ke reze ki main to teri talash ke be-kanar sahra mein wahm ke be-aman bagulon ke war sah kar udas rah kar na-jaane kis rah mein kho gaya hun bichhad ke tujh se teri tarah kya bataun main bhi na jaane kis kis ka ho gaya hun bahut dinon baad main ne socha to yaad aaya