(1) be-chehragi

hum ek aisi wadi daryaft kar chuke
jahan sirf dukhon ki fasl kasht hoti hai

jannat ki baat karne walon ke hont
khamushi ke dhage se si kar

unhen sannaton ki jahannam mein dal diya jata hai
mohabbat ke mathe par nafrat likhne ki siyahi

har sine mein dal di gai hai
dharti ke sine par khushiyan sinchne walon ki aankhen

ab apne hath talashti phirti hain
nafrat ke tezab se hum

ek dusre ka chehra bigadne par tul chuke hain
hamari masumiyat ke chehre par

khauf jale bun chuka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close