bahut ghutan hai koi surat-e-bayan nikle agar sada na uthe kam se kam fughan nikle faqir-e-shahr ke tan par libas baqi hai amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle haqiqaten hain salamat to khwab bahutere udas kyun ho jo kuchh khwab raegan nikle wo falsafe jo har ek aastan ke dushman the amal mein aae to khud waqf-e-astan nikle idhar bhi khak udi hai udhar bhi zakhm pade jidhar se ho ke bahaaron ke karwan nikle sitam ke daur mein hum ahl-e-dil hi kaam aae zaban pe naz tha jin ko wo be-zaban nikle