mere kamre mein utar aai khamoshi phir se saya-e-sham-e-ghariban ki tarah shorish-e-dida-e-giryan ki tarah mausam-e-kunj-e-bayaban ki tarah kitna be-nutq hai yaadon ka hujum jaise honton ki faza yakh-basta jaise lafzon ko gahan lag jae jaise ruthe hue raston ke musafir chup-chap jaise marqad ke sirhane koi khamosh charagh jaise sunsan se maqtal ki salib jaise kajlai hui shab ka nasib mere kamre mein utar aai khamoshi phir se phir se zakhmon ki qataren jagin awwal-e-sham-e-charaghan ki tarah har nae zakhm ne phir yaad dilaya mujh ko isi kamre mein kabhi mahfil-e-ahbab ke sath gungunate hue lamhon ke shajar phailte the raqs karte hue jazbon ke dahakte lamhe qarya-e-jaan mein lahu ki surat sham-e-wada ki tarah jalte the sans leti thi faza mein khushbu aankh mein gulban-e-marjaan ki tarah sans ke sath guhar dhalte the aaj kya kahiye ki aisa kyun hai sham chup-chap faza yakh-basta dil mera dil ki samundar ki tarah zinda tha tere hote hue tanha kyun hai to ki khud chashma-e-awaz bhi hai meri mahram meri hamraaz bhi hai tere hote hue har samt udasi kaisi sham chup-chap faza yakh-basta dil ke hamrah badan tut raha ho jaise ruh se rishta-e-jaan chhut raha ho jaise ai ki tu chashma-e-awaz bhi hai hasil-e-naghmagi-e-saz bhi hai lab-kusha ho ki sar-e-sham-e-figar is se pahle ki shikasta-dil mein bad-gumani ki koi tez kiran chubh jae is se pahle ki charagh-e-wada yak-ba-yak bujh jae lab-kusha ho ki faza mein phir se jalte lafzon ke dahakte jugnu tair jaen to sukut-e-shab-e-uryan tute phir koi band-e-gareban tute lab-kusha ho ki meri nas nas mein zahr bhar de na kahin waqt ki zakhm-faroshi phir se lab-kusha ho ki mujhe das legi khud-faramoshi phir se mere kamre mein utar aai khamoshi phir se