qadam qadam pe mujhe ye khayal aata hai teri nazar ka sahaara mile to kya kam hai! khizan mein rah ke bahaaron ki aarzu na karun jo zakhm-e-dil bhi mahak kar khile to kya kam hai! hazar chaak hain daman-e-zindagi ke magar jo ek chaak-e-gareban sile to kya kam hai! tamam tera manazil se main guzar jaun jo ek sham-e-mohabbat jale to kya kam hai! wo git jo mere honton pe aa nahin sakta wo ashk-e-gham ke sahaare dhale to kya kam hai! rah-e-hayat mein diwangi ki manzil par sambhal sambhal dil-e-nadan chale to kya kam hai! ye gomti ye awadh ki hasin raqqasa main sochta hun ise raaz-dan bana dalun faza pe surmai aanchal udha ke dur talak isi zamin pe naya aasman bana dalun ye mere ashk-e-mohabbat ke pasdar bhi hain bahut hai ek nazar bhi jo gham ki mahram ho main is nazar se naya aastan bana dalun qadam qadam pe mujhe ye khayal aata hai teri nazar ka sahaara mile to kya kam hai!