tirgi ke siyah-ghaaron se shahparon ki sadaen aati hain le ke jhonkon ki tez talwaren thandi thandi hawaen aati hain barf ne jin pe dhaar rakkhi hai ek maili dukan tera o tar ek charagh aur ek doshiza ye bujhi si hai wo udas sa hai donon jadon ki lambi raaton mein tirgi aur hawa se ladte hain tirgi uth rahi hai maidan se fauj-dar-fauj baadalon ki tarah aur hawaon ke hath hain gustakh tode lete hain nanhe shole ko noche lete hain maile aanchal ko ladki rah rah ke jism dhanpti hai shola rah rah ke thar tharaata hai nangi budhi zamin kanpti hai tirgi ab siyah-samundar hai aur hawa ho gai hai diwani ya to donon charagh gul honge ya karenge wo shola-afshani phunk dalenge tirgi ki mata par mujhe e'timad hai in par go gharib aur be-zaban se hain donon hain aag donon hain shola donon bijli ke khandan se hain