main apne jism se bahar nikal ke dekhunga ye kaenat mujhe kis tarah ki lagti hai fareb-e-zat ka ehsas garche achchha hai bahut kathin hai safar aagahi ki manzil ka bhatak raha hun main sadiyon se aisi duniya mein jahan pe jism se ho kar guzarna padta hai har ek khwab ko rasta badalna padta hai