jo chalta hai to qadmon ki koi aahat nahin hoti talash-e-farq-e-nek-o-bad ki khwahish ko liye dil mein guzarta hai ghubar-zist ki gum-nam galiyon se dhundlaka sa koi hai ya koi be-khwab si shab hai koi be-nur rasta hai ki jis mein kho gaya hun main koi aawaz hai jo ek darida pairahan pahne hujum-e-be-sar-o-pa mein kai sadiyon se rahti hai guzarti hai to har jaanib sukut-e-marg bahta hai khandar mein sans leta hai koi be-khanuman saya mujhe aawaz deta hai