bahut mumkin hai

bahut mumkin hai main shair na hoti
to ban kar main mujawar

kisi dargah par jhadu lagati
ya ban ke main koi majzub hasti

hawaon mein kahin raste banati
ye duniya phir bhi mere gird

ek majma lagati
kabhi hansti

kabhi thokar lagati
main apni ral se likhti fasane

badalte ye sabhi manzar
agar putli main aankhon ki ghumati

tu pichhe bhag duniya ke
ye tujh se dur jae

tu thokar de use jis din
tere pichhe ye aae

agar tu pas duniya ke to
rab se dur hoga

agar ho pas rab ke to
ye qadmon mein samae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close