bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur ki dil kahin hai nazar hai kahin kahin tum ho wo jis ko pi na saki meri shola-ashami wo kuza-e-shakar o jam-e-ambagin tum ho mere mizaj mein aashuftagi saba ki hai mili kali ki ada gul ki tamkanat tum ko saba ki god mein phir bhi saba se begana tamam husn o haqiqat tamam afsana wafa bhi jis pe hai nazan wo bewafa tum ho jo kho gai hai mere dil ki wo sada tum ho bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur hijab-e-jism abhi hai hijab-e-ruh abhi abhi to manzil-e-sad-mehr-o-mah baqi hai hijab-e-fasla-ha-e-nigah baqi hai visal-e-yar abhi tak hai aarzu ka fareb