khwabon ki tarsil ka kaam ek muddat se bila-nagha jari hai main un logon ke liye khwab dekhta hun jo khud khwab nahin dekh sakte main khwab dekhta hun aur inhen kaghaz par likhta hun kabhi aadha kabhi pura aur kabhi pure se bhi ziyaada kabhi kabhi to khwab itne ziyaada ho jate hain ki kaghaz se bah kar zamin par ya mere kapdon par ya bed-sheet par kabhi kabhi to nashte ki mez par bhi gir jate hain jinhen sametna ek mushkil kaam hai log kaghaz se mere khwab chatte hain aur honton par zaban pherte hue kahte hain aaj bhi namak zara kam rah gaya hai yahi ek jumla meri ujrat hai ye main un logon ki baat kar raha hun jo khud khwab nahin dekh sakte jo dekh sakte hain un ka rawayya qadre behtar hai yaad rahe main ye kaam ujrat ke baghair bhi kar leta hun lekin us waqt mujhe bahut diqqat hoti hai jab raat aankhon mein kat jati hai aur khwab dur dur tak dikhai nahin dete us waqt hath malte hue nind aur khwab ka intizar bahut taklif-dah hota hai lekin kabhi kabhi jab main so kar uthta hun to khwab mere darwaze par dastak dete hain