ahd-e-parina mein bhi zist par tha wahm ka kitna asar ek oracle ki talqin man kar shah aagastas ki biwi 'lewiya' apni angiya ki faza-e-garm mein rakhti thi ek marzi ka anda roz-o-shab is ko ye wishwas tha is ke hone wale bachche aur is chuze ki jins ek hogi aakhirash yunhi hua aashiyan garm-o-shokh-o-narm se ek nar nikla to us ki kokh se bhi ek nar paida hua taibres aur phir us ittifaqi waqe ne to zanan-e-rom mein aam kar di baiza-e-mahram ki tarbiyat ki rasm