shahr-e-dil ki galiyon mein sham se bhatakte hain chand ke tamannai be-qarar saudai dil-gudaz tariki ruh-o-jaan ko dasti hai ruh-o-jaan mein basti hai shahr-e-dil ki galiyon mein tak shab ki belon par shabnamin sarishkon ki be-qarar logon ne be-shumar logon ne yaadgar chhodi hai itni baat thodi hai sad hazar baaten thin hila-e-shakebai suraton ki zebai qamaton ki ranai in siyah raaton mein ek bhi na yaad aai ja-ba-ja bhatakte hain kis ki rah takte hain chand ke tamannai ye nagar kabhi pahle is qadar na viran tha kahne wale kahte hain qarya-e-nigaran tha khair apne jine ka ye bhi ek saman tha aaj dil mein virani abr ban ke ghir aai aaj dil ko kya kahiye ba-wafa na harjai phir bhi log diwane aa gae hain samjhane apni wahshat-e-dil ke bun liye hain afsane khush-khayal duniya ne garmiyan to jati hain wo ruten bhi aatin hain jab malul raaton mein doston ki baaton mein ji na chain paega aur ub jaega aahaton se gunjegi shahr-e-dil ki pahnai aur chand raaton mein chandni ke shaidai har bahane niklenge aazmane niklenge aarzu ki gahrai dhundne ko ruswai sard sard raaton ko zard chand bakhshega be-hisab tanhai be-hijab tanhai shahr-e-dil ki galiyon mein