nukta-dan-e-adab tum ko kya ho gaya lahlahati hui zehn ki fasl mein kis liye kar rahe ho bajuke khade is taraf wo charinde nahin aaenge ishtiha ki jo bechainiyon ko liye bote rahte hain har samt barbaadiyan nukta-dan-e-adab zehn ki fasl ki ho sake to bahaaren mujassam karo khauf ke istiaron se kiya faeda