aziyyat-nak us gadi ka andaz-e-rawani hai badi dil-doz us ke har musafir ki kahani hai safar ki har saubat ek bala-e-na-gahani hai na roti hai na salan hai na chae hai na pani hai ye diesel ki bajae har qadam par jaan khati hai jawani aadmi ki raste mein bit jati hai yahan gul-khan jitne hain wo sab pur-josh baithe hain magar punjab ke jo log hain khamosh baithe hain kai kuchh hosh mein hain aur kuchh behosh baithe hain kai nara-ba-lab hain aur kafan-bar-dosh baithe hain hai bhid itni ki izrail se dar tak nahin hilta use bogi mein ghusne ka koi rasta nahin milta yahan iman ki daulat bhi hai ek jins-e-be-maya nikal jata hai har-ik dil se gham-khwari ka sarmaya haqiqat mein ye raaz ab tak samajh koi nahin paya gaya ek bar jo bait-ul-khala mein phir nahin aaya jo thi ja-e-faraghat ban gai ja-e-aman shayad yahi hai gosha-e-mahfuz zer-e-asman shayad taras aata hai rah rah kar mujhe un na-tawanon par pade hain bojh ban kar jo thake-haare jawanon par salakhon se chimat kar jo khade hain paidanon par hain un ki khana-barbaadi ke qisse aasmanon par har ek jhatke pe tangen kanpti hain dam nikalta hai sanbhal kar koi girta hai koi gir kar sanbhalta hai wahi gadi pe qabiz hai usi ka bol-baala hai wo jis ne apne ek sathi ka kurta phad dala hai tiffin khane ka jis ne apne hathon mein sanbhaala hai samajh lo faqa-maston ke liye wo tar niwala hai kamar bandhe hue ladne ko yan sab yar baithe hain jo apne hain jhapatne ke liye tayyar baithe hain jo rahi railway ahkaam ki tamil kar baithe wo apne gham ki dauran-e-safar takmil kar baithe sukun-e-qalb apna wasil-e-tajil kar baithe kai khush-bakht apni biwiyan tabdil kar baithe mera beta shakure ka nawasa ban ke baitha tha jo mera tha kabhi us ka asasa ban ke baitha tha