daere, kuchh nim halqe ye rayazi ke bakhede ji ka ek janjal hain baaten ziyan ki sud ki main muqayyad daeron mein is tarah koson ko takta hun jaise ek bimar bachcha naqsh o lafz o saut se bezar bistar par khuli khidki se rangin lal nile pile balloonon ko hasrat ki nigah se dekhta hai jo muallaq hain faza mein