main chahta hun ki mera beta jawan ho kar kisi hasina ki kakulon ka asir thahre meri dua hai ki ye riwayat na tut jae use bhi kuchh dil ki rahnumai mein zindagi ko guzarne ka sharaf ata ho machine us ko bhi ban hi jaana hai aakhirash bas dua yahi hai ki mantiqon aur maslahat ki napi-tuli zindagi se pahle wo ji ke dekhe khud apni khatir kisi ki khatir wo apna aapa bhula ke dekhe jo us ko mohtat ban hi jaana hai apni nindon ke zimn mein bhi to chahta hun wo chand raaten to thandi aahon ke sath kate aur is se pahle ki chand suraj faqat zarurat ki chiz thahren wo nange pairon sulagti chhat par khada rahe ek jhalak ki khatir wo chandni shab mein muntazir ho kisi pari ka khurak ki ahmiyat ka qael to ho rahega main chahta hun wo bhuk ke zaiqe se bhi aashna agar ho to kya bura hai