achchhi sita ban se laut aai ho lekin ghar se bhi wapas jaana hai kahna mano dharti-man ka chah bada mahnga sauda hai wo bhi ram ki jis ne rawan ko jita hai dariya apni hi maujon se ho jata hai maghlub aksar andar ka tufan bada hai sahra mein khate hain bagule kya kya chakkar had se ziyaada ji ka umadna kab achchha hai zakhmon se hain kitna chur garajte baadal kitna bhayanak ye shoala hai tum par bhi chamki hai bijli ram ka dard umad aaya hai chah bada mahnga sauda hai kahna mano dharti-man ka raj-mahal ka uncha phatak band hua to band hua