banaras

har ek ko bhati hai dil se faza banaras ki
wo ghat aur wo thandi hawa banaras ki

wo mandiron mein pujariyon ka hujum
wo ghantiyon ki sada wo faza banaras ki

tamam hind mein mashhur hai yahan ki sahar
kuchh is qadar hai sahar khushnuma banaras ki

pujariyon ka nahana wo ghat par aa kar
wo subh-dam ki faza dil-kusha banaras ki

wo kashtiyon ka saman aur wo sair ganga ki
wo thandi thandi hawa jaan-fiza banaras ki

hamare dil se nikalti hai ye dua 'akhtar'
ki phir bhi shakl dikhae khuda banaras ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close