kitni mushkil hai abhi apni mulaqat sanam jaan le legi ye be-waqt ki barsat sanam teri taswir mere zehn pe jab chhati hai zinda rahta hun magar jaan nikal jati hai zahar pita hun teri yaad mein din raat sanam kitni mushkil hai abhi apni mulaqat sanam wo bhi kya din the kiya karte the mil kar baaten rang aur nur mein katti thin hamari raaten jaane kyun ruth gae hum se wo haalat sanam kitni mushkil hai abhi apni mulaqat sanam