jahan-e-kohna ke mafluj falsafa-dano nizam-e-nau ke taqaze sawal karte hain ye shahrahen isi waste bani thin kya ki in pe des ki janta sisak sisak ke mare zamin ne kya isi karan anaj ugla tha ki nasl-e-adam-o-hawwa bilak bilak ke mare milen isi liye resham ke dher bunti hain ki dukhtaran-e-watan tar tar ko tarsen chaman ko is liye mali ne khun se sincha tha ki us ki apni nigahen bahaar ko tarsen zamin ki quwwat-e-takhliq ke khuda-wando milon ke muntazimon saltanat ke farzando pachas lakh fasurda gale-sade dhanche nizam-e-zar ke khilaf ehtijaj karte hain khamosh honton se dam todti nigahon se bashar bashar ke khilaf ehtijaj karte hain