mere liye kaun sochta hai juda juda hain mere qabile ke log sare juda juda sab ki suraten hain sabhi ko apni ana ke andhe kuen ki tah mein pade hue khwahishon ke pinjar hawas ke tukde hawas reze hiras kankar talashna hain sabhi ko apne badan ki shah-e-rag mein qatra qatra lahu ka lawa undelna hai sabhi ko guzre dinon ke dariya ka dukh wirasat mein jhelna hai mere liye kaun sochta hai sabhi ki apni zaruraten hain meri ragen chhilti jarahat ko kaun bakhshe shifa ki shabnam meri udasi ko kaun bahlae kisi ko fursat hai mujh se puchhe ki meri aankhen gulab kyun hain meri mashaqqat ki shakh-e-uriyan par sazishon ke azab kyun hain meri hatheli pe khwab kyun hain mere safar mein sarab kyun hain mere liye kaun sochta hai sabhi ke dil mein kuduraten hain