ek sard din ek garm bose ke sath guzara ja sakta hai aur ek bosa bachaya ja sakta hai agle din ke liye ek garm din guzar sakte hain kisi sard aah ke sath aur sard pad sakte hain agle din banner par likhe ja sakte hain apne khwab aur raat ko aag mein jhonk sakte hain apni aankhen ek sadi guzar sakte hain kisi mod pe khade rah kar ek sadi tak jaya ja sakta hai ek hi raste par takrar na-pasand karne ke bawajud ek shakhs se kar sakte hain mohabbat dusri bar bhi han likhi ja sakti hai likhi hui nazm dobara bhi