Diary mein likha main

jab pahad
ro rahe the

mera janm hua
main apna khwab

beri ke pedon mein bo kar
muskurahat ki talash mein nikal pada

raste mein mujhe
ek

diary mili
jis ke pahle safhe par darj tha

zindagi khud-bakhud koi faisla nahin karti balki ye
mahz aap ke faislon ke anjam se aap ko milati hai

diary ke baqi safhe bilkul
chup the

main kisi museum mein tumhein nahin pa saka
qabristan mein mujhe

mahz zard phulon ki pattiyan milin
kisi stadium mein mujhe nahin jaana

kisi mahfil-e-mausiqi se mujhe lagao nahin hai
pyar karne ke liye

wadiyon ki bajae
kisi art gallery ka rukh karna zaruri nahin hai

kisi art gallery ka rukh karna zaruri nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close