wo bachchi gum-shuda hairat se aasar-e-qadima wala safha khaul kar school ki book padh rahi hai use malum hi kab hai jise nirwan milta hai wo sadiyan odh kar safhon mein buddha ban ke rahta hai wo padhte padhte jab taswir par nazren jamati hai to us ko, aankh ke halqon mein murda khwahishon ki zardiyan mahsus hoti hain ghane bargad ke sae mein pade rahne se us ki gal pe suraj ka bosa hi nahin hai us ke sar ke baal ki sab tazgi jangal ke sabze mein padi hai use buddha pe raham aaya wo bachchi hath mein pencil pakad kar sochti hai aur phir taswir ke upar lakiren khinch kar monchhen banati hai aur is tabdili se andar hi andar muskuraati hai ki jaise us ne danish ki sabhi kamzoriyan apni lakiron se chhupa di hain use malum hi kab hai ki us ke hath ki jumbish ne andar ki sabhi aalaishen chehre pe rakh di hain wo jin ko jism se aazad kar ke ek arse se tyagi tha ab aasar-e-qadima wale safhe par 'danaya' aur 'sata' ke koi mafhum hi baqi nahin hain zara monchhen banane se sabhi dukh mit gae hain marg' ki koi zarurat hi nahin buddha kapilwastu ka shahzada dobara ban gaya hai