ek sham us ne mujhe apni panah-gah se bahar nikala aur apne sarsabz bazuon ke shahtut se kashti tayyar ki kashti jis ne sab se pahle dusra kinara ijad kiya tha aasman par chand aadhi masafat tai kar chuka to wo mujhe apni nai kashti mein bitha kar samundar ki tah mein utarne lagi jahan us ne apne khwab chhupa rakkhe the agli sham wo mujhe erosion ke mabad mein mili jis ke chaaron or siyah jangal ki badh thi us mabad ko sara rome ummid bhari nazron se dekhta tha main hatif ke ghaib-danon ke liye bhuna hawa gosht khushbu-dar masale roghniyat aur zaitun ki taza shakh thame muqaddas ahate mein panah-guzin hawa use dekh kar hatif ki ziyarat-gah ki diwar shaq ho gai