baadal ki dhutkari barish roti phirti hai shanon pe dahakte sahraon ka gham dhoti phirti hai wo tera pahnai mein sari raat bhatakti hai rah rah ke us ke sine mein bijli ki yaad tadapti hai qahr se us ko kale baadal ghurte rahte hain us ke moti jaise aansu parnalon mein bahte hain