aangan mein pani aaya hai kya achchha talab bana hai kaghaz hum achchhe achchhe laen phad ke in ko naw banaen naw tumhaari tuti akhtar dub rahi hai chakkar kha kar khelen kuden dil bahlaen daudo akbar us ko bachaen kya achchha talab bana hai kya achchha talab bana hai pani mein sab mil kar jaen apni apni naw bahaen khel mein rona dhona kaisa ye nahin achchhi dusri lena beda sab ka par lagaen sab se aage is ko badhaen kya achchha talab bana hai kya achchha talab bana hai dekho ye kya tez chali hai sab se aage ja pahunchi hai dekho dekho phail gain wo dekho kaisi mil ke chalin wo aao us ko nach nachaen jaane do jis samt bhi jaen kya achchha talab bana hai kya achchha talab bana hai tair rahi hai yun pani par phul khile hain jun pani par aao zara ammi ko dikhaen kya achchha talab bana hai