barish aur baadal

kal sham mujhe barish mili
bagh mein roti hui

us ki siskiyan darakhton ki
shakhon par atki thin

wo baadal ka ghar chhod aai thi
main ne use tassuf se dekha

raat ko mere kamre ki khidki par
bikhre baalon wale

pareshan baadal ne dastak di
wo chandni ka ek tukda

hath mein le kar
barish ko dhund raha tha

main ne khidki pe bahte
barish ke aansuon ki samt ishaara kiya

mohabbat ke aasman par bichhadne walon ko
zamin bhi panah nahin deti

is liye hath chhudane se pahle
ye baat dhyan mein rakhna

mohabbat mein judai daimi hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close