raushni

wo jo zindagi ka qarar thi
wahi subh-e-nur kahan gai

wo jo khwab-e-naz the kya hue
mai-e-pur-surur kahan gai

wo jo intizar-e-qarar tha
wahi intizar-e-qarar hai

wo dukhan hai dil mein nihan abhi
dil-e-na-subur kahan gai

wahi tirgi ka hisar hai
shab-o-roz par mah-o-sal hai

hai jawar-e-qalb pe tirgi
abhi dil se dur kahan gai

mere shahryar teri samaat-e-shauq besh
magar yahan

wo hai kaun jis ne fughan na ki
pe tere huzur kahan gai

yahan ab maal-e-guzishta-shab
nai ek shab ka nafaz hai

wo jo subh-e-farda ki aarzu thi
thakan se chur kahan gai

usi tirgi mein ye nur ki
jo lakir phuti hai aah se

ajab ek manzar-e-jaan-faza
ki guzar raha hai nigah se

abhi kaun qarya-e-jaan se
su-e-adam gae hain lahu lahu

ki ajab charagh se jal uthe
sar-e-qatl-gah gulu gulu

isi raushni mein tamam chehre
ki aae jate hain ru-ba-ru

koi sar-kashida-o-khanda-zan
koi sar-khamida siyah-ru


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close