sari raat ka jaga tha main aur barkha ki bhigi subh mein teri yaad ki chadar odh ke aankh lagi thi uth kar dekha jab to suraj aag ka gola dahak raha tha ghas pe nam ka halka sa bhi naqsh nahin tha din pe pichhli raat ke khwab ki ek bhi chhint nahin thi baqi dhup hare dalan mein baithi ungh rahi thi jism ki chhaal pe khude hue kuchh nam nahin the un ki jagah kuchh zang lage se kil tange the jin pe pichhli raat ki yaaden yun atki thin jaise be-abaad gharon par zang lage tale latke hon