hum aakhiri bar kisi khwab mein mile the lekin sharab shahd aur panir ka zaiqa bhi alwida'i bose ki lazzat dhundla nahin saka tum se bichhadne ke ba'd main ne kabhi aansuon par barae-farokht ka tag nahin lagaya aur apne qahqahon ka khokhla-pan sari zindagi jur’a jur’a pita raha tumhaari aankhen kisi faramosh-shuda station ke book stall par tangi rah gain aur baaten khamushi ke taqchon mein jalti rahin adhure ‘ahd-namon pe likhe nam tarikh ki yaad-dasht se mahw ho jate hain lekin ek nazm unhen zinda rakh sakti hai