barkha-rut

aasman par chha raha hai abr-paron ka hujum!
nau-bahaaron ka hujum

aah ye rangin aawara nazaron ka hujum
kohsaron ka hujum

badliyan hain ya kisi ke bhule-bisre khwab hain
be-khud o betab hain!

ya hawa par tairta hai rud-baron ka hujum
aabshaaron ka hujum

phirti hain aawara matwali ghataen is tarah
aur hawaen is tarah

jhumta phirta ho jaise mai-gusaron ka hujum
baada-khwaron ka hujum

wadi-e-ganga hai, barkha-rut hai, kali raat hai
raat hai barsat hai

aur faza mein tairne wale nazaron ka hujum
nashsha-zaron ka hujum

nil-gun pariyan ufuq mein par hain phailae hue
baal bikhrae hue

ya umand aaya hai sawan ki bahaaron ka hujum
abr-paron ka hujum

nannhi nannhi bunden girti hain hijab-e-abr se
ya naqab-e-abr se

chhan raha hai qatre ban ban kar sitaron ka hujum
nur-paron ka hujum

ye ghataen hain ki khwabon ke safine hain rawan
be-qarine hain rawan

baadbanon mein chhupae chashma-saron ka hujum
ju-e-baron ka hujum

bijli hai ya nur ki zanjir lahrai hui
pech-o-kham khai hui

ya khamida marmarin phulon ke haaron ka hujum
aur sitaron ka hujum

ye saman bijli ka ye mahtab ki si wadiyan
khwab ki si wadiyan

nashshe mein bhiga hua ye sabza-zaron ka hujum
kohsaron mein khushi ki bastiyan aabaad hain

mastiyan aabaad hain
chaar-su bikhra pada hai sabza-zaron ka hujum

margh-zaron ka hujum
yun nazar aate hain kohsar-e-masuri dur se

mast se makhmur se
jun samundar se jaziron ki qataron ka hujum

sabza-zaron ka hujum
ye safar, ye raat, ye barsat aur phir ham-safar

al-aman o al-hazar
ek husn-e-yasmin rangin bahaaron ka hujum

mah-paron ka hujum
ye suhane manzar akhtar muddaton yaad aaenge

muddaton tadpayenge
aah ye raat, uf ye mastana nazaron ka hujum

ye bahaaron ka hujum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close