mere ghar ki dewi ke baala-e-sina khila hai mohabbat ka taza kanwal darakhshanda jaise sar-e-sham zohra ufuq par samundar ke aae nikal wo hathon pe apne khilati hai us ko wo pairon pe apne jhulati hai us ko wo rakhti hai aankhon mein putli bana ke wo sote mein rota jo uth baithta hai to boson se moti se aansu wo ponchhe wo sau jaan se har ada par fida hai wo hai lal donon jahan jis pe sadqe ye nannhi si jaan aur ghasib ke dawe mera takht-e-zarrin hai tere hawale tere dast-o-bazu farishton ke daste tu hai wo zabardast jite pe jite