hain is hawa mein kya kya barsat ki bahaaren sabzon ki lahlahahat baghat ki bahaaren bundon ki jhamjhamawat qatraat ki bahaaren har baat ke tamashe har ghat ki bahaaren kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren baadal hawa ke upar ho mast chha rahe hain jhadiyon ki mastiyon se dhumen macha rahe hain padte hain pani har ja jal-thal bana rahe hain gulzar bhigte hain sabze naha rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren mare hain mauj dabar dariya daund rahe hain mor-o-papihe koyal kya kya rumand rahe hain jhad kar rahi hain jhadiyan nale umand rahe hain barse hai munh jhada jhad baadal ghumand rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jangal sab apne tan par hariyali saj rahe hain gul phul jhad-bute kar apni dhaj rahe hain bijli chamak rahi hai baadal garaj rahe hain allah ke naqare naubat ke baj rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren baadal laga takoren naubat ki gat lagawen jhengur jhangar apni surnaiyan bajawen kar shor mor bagule jhadiyon ka munh bulawen pi pi karen papihe meindak malaren gawen kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren har ja bichha raha hai sabza hare bichhaune qudrat ke bichh rahe hain har ja hare bichhaune jangalon mein ho rahe hain paida hare bichhaune bichhwa diye hain haq ne kya kya hare bichhaune kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren sabzon ki lahlahahat kuchh abr ki siyahi aur chha rahi ghataen surkh aur safed kahi sab bhigte hain ghar ghar le mah-ta-ba-mahi ye rang kaun range tere siwa ilahi kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kya kya rakhe hain yarab saman teri qudrat badle hai rang kya kya har aan teri qudrat sab mast ho rahe pahchan teri qudrat titar pukarte hain subhan teri qudrat kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koyal ki kuk mein bhi tera hi nam haiga aur mor ki zatal mein tera payam haiga ye rang sau maze ka jo subh-o-sham haiga ye aur ka nahin hai tera hi kaam haiga kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren bolin bae bateren qumri pukare ku-ku pi pi kare papiha bagule pukaren tu-tu kya hudhudon ki haq haq kya fakhaton ki hu-hu sab rat rahe hain tujh ko kya pankh kya pakheru kya kya machi hain yaro barsat ki maren jo mast hon idhar ke kar shor nachte hain pyare ka nam le kar kya zor nachte hain baadal hawa se kar kar ghanghor nachte hain meindak uchhal rahe hain aur mor nachte hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren phulon ki sej upar sote hain kitne ban-ban so hain gulabi jode phulon ke haar abran kitnon ke ghar hai khana sona lage hai aangan kone mein pad rahi hain sar munh lapet sogan kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo khush hain wo khushi mein kate hain raat sari jo gham mein hain unhon par guzre hai raat bhaari sinon se lag rahi hain jo hain piya ki pyari chhati phate hai un ki jo hain birah ki mari kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo wasl mein hain un ke jude mahak rahe hain jhulon mein jhulte hain gahne jhamak rahe hain jo dukh mein hain so un ke sine phadak rahe hain aahen nikal rahi hain aansu tapak rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren ab birhanon ke upar hai sakht be-qarari har bund marti hai sine upar katari badli ki dekh surat kahti hain bari bari hai hai na li piya ne ab ke bhi sudh hamari kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jab koyal apni un ko aawaz hai sunati sunte hi gham ko mare chhati hai umndi aati pi pi ki dhun ko sun kar be-kal hain kahti jati mat bol ai papihe phatti hai meri chhati kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren hai jin ki sej suni aur khali chaarpai ro ro unhon ne har-dam ye baat hai sunai pardesi ne hamari ab ke bhi sudh bhulai ab ke bhi chhawni ja pardes mein hai chhai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitnon ne apni gham se ab hai ye gat banai maile kuchaile kapde aankhen bhi dabdabai ne ghar mein jhula dala ne odhni rangai phuta pada hai chulha tuti padi kadhai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren gati hai git koi jhule pe kar ke phera maro ji aaj kijiye yan rain ka basera hai khush kisi ko aa kar hai dard-o-gham ne ghera munh zard baal bikhre aur aankhon mein andhera kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren aur jin ko ab muhayya husnon ki dheriyan hain surkh aur sunahre kapde ishrat ki gheriyan hain mahbub dilbaron ki zulfen bikheriyan hain jugnu chamak rahe hain raaten andheriyan hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitne to bhang pi pi kapde bhigo rahe hain bahen gulon mein dale jhulon mein so rahe hain kitne birah ke mare sudh apni kho rahe hain jhule ki dekh surat har aan ro rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren baithe hain kitne khush ho unche chhua ke bangle pite hain mai ke pyale aur dekhte hain jangle kitne phire hain bahar khuban ko apne sang le sab shad ho rahe hain umda gharib kangle kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitnon ko mahlon andar hai aish ka nazara ya saeban suthra ya bans ka usara karta hai sair koi kothe ka le sahaara muflis bhi kar raha hai pole tale guzara kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren chhat girne ka kisi ja ghul shor ho raha hai diwar ka bhi dhadka kuchh hosh kho raha hai dar dar haweli wala har aan ro raha hai muflis so jhopde mein dil-shad so raha hai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren muddat se ho raha hai jin ka makan purana uth ke hai un ko meinh mein har aan chhat pe jaana koi pukarta hai tuk mori khol aana koi kahe hai chal bhi kyun ho gaya diwana kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi pukarta hai lo ye makan tapka girti hai chhat ki mitti aur saeban tapka chhalni hui atari kotha nidan tapka baqi tha ek usara so wo bhi aan tapka kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren uncha makan jis ka hai pach khana siwaya upar ka khan tapak kar jab pani niche aaya us ne to apne ghar mein hai shor-ghul machaya muflis pukarte hain jaane hamara kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren sabzon pe bir bhuti tilon upar dhaturee pissu se machchharon se roe koi basore bichchhu kisi ko kate kida kisi ko ghure aangan mein kansalai konon mein khankhajure kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren phunsi kisi ke tan mein sar par kisi ke phode chhati ye garmi dane aur pith mein darode kha puriyan kisi ko hain lag rahe marode aate hain dast jaise dauden iraqi ghode kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren patli jahan kisi ne dal aur kadhi pakai makkhi ne wohin boli aa unt ki bulai koi pukarta hai kyun khair to hai bhai aise jo khanste ho kya kali mirch khai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jis gul-badan ke tan mein poshak sausani hai so wo pari to khasi kali-ghata bani hai aur jis pe surkh joda ya udi odhni hai us par to sab ghulawat barsat ki chhani hai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren badanon mein khab rahe hain khubon ke lal jode jhamken dikha rahe hain pariyon ke lal jode lahren bana rahe hain ladkon ke lal jode aankhon mein chubh rahe hain pyaron ke lal jode kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren aur jis sanam ke tan mein joda hai zafrani gulnar ya gulabi ya zard surkh dhani kuchh husn ki chadhai aur kuchh nai jawani jhulon mein jhulte hain upar pade hai pani kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi to jhulne mein jhule ki dor chhode ya sathiyon mein apne panw se panw jode baadal khade hain sar par barse hain thode thode bundon mein bhigte hain lal aur gulabi jode kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitnon ko ho rahi hai us aish ki nishani sote hain sath jis ke kahti hai wo siyani is waqt tum na jao ai mere yar-e-jaani dekho to kis maze se barse hai aaj pani kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitne sharab pi kar ho mast chhak rahe hain mai ki gulabi aage pyale chhalak rahe hain hota hai nach ghar ghar ghunghru jhanak rahe hain padta hai meinh jhada-jhad table khadak rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren hain jin ke tan mulaem maide ki jaise loi wo is hawa mein khasi odhe phire hain loi aur jin ki muflisi ne sharm-o-haya hai khoi hai un ke sar pe sar ki ya boriye ki khoi kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitne phire hain odhe pani mein surkh pattu jo dekh surkh badli hoti hai un pe lattu kitnon ki gadi rath hain kitnon ke ghode tattu jis pas kuchh nahin hai wo hum sa hai nikhattu kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo is hawa mein yaro daulat mein kuchh badhe hain hai un ke sar pe chhatri hathi pe wo chadhe hain hum se gharib ghoraba kichad mein gir pade hain hathon mein jutiyan hain aur paenche chadhe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren hai jin kane muhayya pakka pakaya khana un ko palang pe baithe jhadiyon ka khat udana hai jin ko apne ghar mein yan lon tel lana hai sar pe un ke pankha ya chhaj hai purana kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitne khushi se baithe khate hain khush mahal mein kitne chale hain lene baniye se qarz pal mein kandhe pe dal aata haldi girah ne mal mein hathon mein ghi ki pyali aur lakdiyan baghal mein kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo kasbiyan jawanen husnon mein purtiyan hain sinon mein lal angiyan aur lal kurtiyan hain nazren bhi badliyan hain dil mein bhi surtiyan hain ek ek nigah mein kafir bijli ki phurtiyan hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo naujawan hain un ki tayyariyan badi hain hathon mein lal chhadiyan kothon pe wo khadi hain aur wo jo aashna se jhagdi hain ya ladi hain munh ko chhupa palang par machli hui padi hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi apne aashna se kar naz ka jhapatta kahti hai hans ke kafir chutki le ya nihatta tum se to dil hamara ab ho gaya hai khatta tum aaj bhi na lae ranwa mera dupatta kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kahti hain koi mujh ko joda soha bana do ya tat bafi juta ya kafsh-e-surkh la do koi kahe hai meri kurti abhi ranga do ya garm se andarse ek sair bhar manga do kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo un ke mubtala hain sab chiz la rahe hain kurti bana rahe hain angiya ranga rahe hain jo jo hain un ki baaten sab kuchh utha rahe hain bahen gale mein dale ishrat mana rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitnon ne qaul bandha mamuli de ke paise kahte hain shad ho kar yun apne aashna se barsat-bhar to mil ke sunte ho jaan pyare ahmaq ho jo palang se ab mutne ko utre kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren ye sun ke un se hans hans kahti hai shokh randi mamuli ab to le kar bandi bhi hai ghamandi hum pahnen lal joda tum pahno khasi bandi khandi ho jo tumhaari chhati kare na thandi kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren zardar ki to un mein hai bichh rahi palangadi dilbar pari si baithi jhamkae chudi nibagadi muflis ki tuti patti ya tat ki jhalangadi randi mili to kali ya kunji luli langdi kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kurti gulabi jin mein gote lage hue hain angiyan ke gard jhute gote take hue hain kahti hain un se hans hans jo jo kate hue hain la ab to mere tujh par barah take hue hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jo begami hai ghar mein aaram kar rahi hai pardon mein doston se paigham kar rahi hai chitwan lawaton se sau dam kar rahi hai chupke hi chupke apna sab kaam kar rahi hai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kahta hai koi apne mahbub sim-bar se wo is meinh mein na jao pyare hamare barse koi kahe hai apne dildar-e-khush-nazar se hathon se mere jaani kha le ye do andarse kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kahta hai koi pyari jo kuchh kaho sau la den zar-dozi tat-bafi juta kaho pahna den peda jalebi laddu jo khao so manga den chira dupatta jama jaisa kaho ranga den kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jin dilbaron ke tan par hain garmi dane aale kahte hain un ko aashiq yun pyar se bula le kya meinh baras raha hai pyare zara naha le chhati nahin to pyare tuk pith hi mila le kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren is rut mein hain jahan tak gulzar bhigte hain shahr-o-dayar kuche bazar bhigte hain sahra-o-jhad bute kohsar bhigte hain aashiq naha rahe hain dildar bhigte hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kahti hai jab wo sun kar ye baat bhig ahmaq marungi tere aa kar ek lat bhig ahmaq mujh ko bhi zid chadhi hai din-raat bhig ahmaq yunhi to ab ke sari barsat bhig ahmaq kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren zardar ki to sun kar aawaz wo pari-ru kahti hai laundiyon se jaldi kiwad kholo muflis koi pukare to is se kahti hai wo hargiz koi na bolo ahmaq ko bhigne do kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi yar se kahe hai ai dil-sitan aao badli badi uthi hai kahne ko man aao kya meinh baras raha hai har ek makan aao raaten andheriyan hain ai meri jaan aao kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi raat ko pukare pyare main bhigti hun kya teri ulfaton ke mare main bhigti hun aai hun teri khatir aa re main bhigti hun kuchh to taras tu mera kha re main bhigti hun kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi pukarti hai dil sakht bhigti hun kanpe hai meri chhati yak-lakht bhigti hun kapde bhi tar-ba-tar hain aur sakht bhigti hun jaldi bula le mujh ko kambakht bhigti hun kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren shisha kahin gulabi botal jhamak rahi hai rabil motiya ki khushbu mahak rahi hai chhati se chhati lag kar ishrat chhalak rahi hai pae khatak rahe hain patti chatak rahi hai kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren koi pukarti hai kya kya mujhe bhigoya koi pukarti hai kaisa mujhe bhigoya nahaq qarar kar ke jhuta mujhe bhigoya yun dur se bula kar achchha mujhe bhigoya kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren jin dilbaron ki khatir bhige hain jin ke jode wo dekh un ki ulfat hote hain thode thode le un ke bhige kapde hathon mein dhar nichode chira koi sungawe jama koi nichode kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kichad se ho rahi hai jis ja zamin phisalni mushkil hui hai wan se har ek ko rah chalni phisla jo panw pagdi mushkil hai phir sambhalni joti giri to wan se kya tab phir nikli kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kitne to कीचड़ों ki daldal mein phans rahe hain kapde tamam gandi daldal mein bas rahe hain kitne uthe hain marmar kitne ukas rahe hain wo dukh mein phans rahe hain aur log hans rahe hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren kahta hai koi gir kar ye ai khudae lijo koi dagmaga ke har-dam kahta hai wae lijo koi hath utha pukare mujh ko bhi hae lijo koi shor kar pukare girne na pae lijo kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren gir kar kisi ke kapde daldal mein hain moattar phisla koi kisi ka kichad mein munh gaya bhar ek do nahin phisalte kuchh is mein aan aksar hote hain saikdon ke sar niche panw upar kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren ye rut wo hai ki jis mein khurd-o-kabir khush hain adna gharib muflis shah-o-wazir khush hain mashuq shad-o-khurram aashiq asir khush hain jitne hain ab jahan mein sab ai 'nazir' khush hain kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren