hum sada dafliyan bajate hain sari duniya ko warghalate hain aur sab ko chughad banate hain ghaib ki baat hum batate hain munfarid aur be-badal hain hum han miyan intellectual hain hum tang girne se tut jae to aankh mirchon se phut jae to aql ka sath chhut jae to sar pe dasan ka boot jae to hum atarid wahin aur zohal hain hum han miyan intellectual hain hum apni bhondi khirad ko bahlaen khub sabun se us ko nahlaen pyar se us ki pith sahlaen aur sahil pe us ko tahlaen sar-ba-sar aql ka khalal hain hum han miyan intellectual hain hum hum ki bas ek waqt khate hain shaal kashmir se mangate hain shawe khud hath se banate hain chae main kuchh nahin milate hain be-muhaba hain bar-mahal hain hum han miyan intellectual hain hum dosto munh hamara kala ho gar kabhi sar mein tel dala ho ya kahin chaal ko sambhaala ho hum ko dekhe jo aankh wala ho ba-in-andaz ba-amal hain hum han miyan itellectual hain hum hum ki sukhe hue shajar ki tarah ek uljhi hui nazar ki tarah sakht sukhi hui matar ki tarah kisi mashuq ki kamar ki tarah jis mein pani nahin wo nal hain hum han miyan intellectual hain hum hum hain expert chaalbazi mein doctor jazba-e-majazi mein dastaras hum ko dil-nawazi mein aur ma hain jalsazi mein maddi ilm ka jabal hain hum han miyan intellectual hain hum kaam karte nahin akadte hain baat be-baat hum jhagadte hain hath munh dho ke pichhe padte hain raste hi mein dhar pakadte hain do-piyaza hain birbal hain hum han miyan intellectual hain hum