ye barsat ye mausam-e-shadmani khas-o-khar par phat padi hai jawani bhadakta hai rah rah ke soz-e-mohabbat jhama-jham barasta hai pur-shor pani faza jhumti hai ghata jhumti hai darakhton ko zau barq ki chumti hai thirakte hue abr ka jazb tauba ki daman uthae zamin ghumti hai kadakti hai bijli chamakti hain bunden lapakta hai kaunda damakti hain bunden rag-e-jaan pe rah rah ke lagti hain choten chhama-chham khala mein khanakti hain bunden falak ga raha hai zamin ga rahi hai kaleje mein har lai chubhi ja rahi hai mujhe pa ke is mast shab mein akela ye rangin ghata tir barsa rahi hai chamakta hai bujhta hai tharra raha hai bhatakne ki jugnu saza pa raha hai abhi zehn mein tha ye raushan takhayyul faza mein jo udta chala ja raha hai lachak kar sambhalte hain jab abr-pare baraste hain daman se dum-dar tare machalti hai rah rah ke baalon mein bijli gulabi hue ja rahe hain kinare faza jhum kar rang barsa rahi hai har ek sans shoala bani ja rahi hai kabhi is tarah yaad aati nahin thi wo jis tarah is waqt yaad aa rahi hai bhala lutf kya manzar-e-pur-asar de ki ashkon ne aankhon pe dale hain parde kahin aur ja kar baras mast baadal khuda tera daman jawahir se bhar de