gharibi ko mita denge gharibi ko mita denge hum apne bazuon ka zor duniya ko dikhaenge hawas ke aasman bar-dosh mahlon ko gira denge dar-e-insaniyat par zalimon ke sar jhuka denge gharibi ko mita denge gharibi ko mita denge kisi ke aish se be-wasta ranjish nahin hum ko kisi ke sim-o-zar se be-sabab kawish nahin hum ko kisi par zulm dhane ki kabhi khwahish nahin hum ko magar hum zulm ke badhte hue shoale bujha denge gharibi ko mita denge gharibi ko mita denge